Here is the “Hasti Apni Habab Ki Si Hai” Gazal by Mir Taqi Mir!
Hasti Apni Habab Ki Si Hai
hastī apnī habāb kī sī hai,
ye numā.ish sarāb kī sī hai,
nāzukī us ke lab kī kyā kahiye,
pañkhuḌī ik gulāb kī sī hai,
chashm-e-dil khol is bhī aalam par
yaañ kī auqāt ḳhvāb kī sī hai
baar baar us ke dar pe jaatā huuñ
hālat ab iztirāb kī sī hai
nuqta-e-ḳhāl se tirā abrū
bait ik intiḳhāb kī sī hai
maiñ jo bolā kahā ki ye āvāz
usī ḳhāna-ḳharāb kī sī hai
ātish-e-ġham meñ dil bhunā shāyad
der se bū kabāb kī sī hai
dekhiye abr kī tarah ab ke
merī chashm-e-pur-āb kī sī hai
‘mīr’ un nīm-bāz āñkhoñ meñ
saarī mastī sharāb kī sī hai
Related Poem,
- Hungama Hai Kyon Barpa Thodi Si Jo Pi Li Hai
- Ku-Ba-Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki
- Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
- Suna Hai Log Use Aankh Bhar ke Dekhte Hain
Hasti Apni Habab Ki Si Hai