Here is the “Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jaana Tera” Gazal By Gaman (1978)!
Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jaana Tera
siine meñ jalan āñkhoñ meñ tūfān sā kyuuñ hai,
is shahr meñ har shaḳhs pareshān sā kyuuñ hai,
dil hai to dhaḌakne kā bahāna koī DhūñDe,
patthar kī tarah be-his o be-jān sā kyuuñ hai,
tanhā.ī kī ye kaun sī manzil hai rafīqo,
tā-hadd-e-nazar ek bayābān sā kyuuñ hai,
ham ne to koī baat nikālī nahīñ ġham kī
vo zūd-pashemān pashemān sā kyuuñ hai
kyā koī na.ī baat nazar aatī hai ham meñ
ā.īna hameñ dekh ke hairān sā kyuuñ hai
Related Gazal,
- Aap Jinke Kareeb Hote Hain
- Mohabbat Karne Wale Kam Na Honge
- Patta Patta Buta Buta Haal Hamara Jaane Hai
- Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya
Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jaana Tera